Skip to main content

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-23

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨

╂─────────────────╂
    🌟اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.
       🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ.

╂─────────────────╂
                 
📿 SAWALAAT-E-QURBANI    
 ╂────────────────╂
 ┗────────┯

            ★ POST NO-23 ★
          ╂───────────╂

 ✧⇝❥Qurbani Me Karne Wale Makrooh Amal Kya Hai??

★➻Qurbani Ke Kuch Aadaab Hai...Jisko Tarteeb Se Bataya Jaa Raha Hai...

✧≫【01】  Janwar Ko Zibaah Karne Se Pehle Chara Khilaye Paani Pilaye Bhooka Piyaasa Rakhna Makrooh Hai, 

✧≫【02】 Mazbaah Jahan Janwar Ko Zibaah Karne Lejate Us Waqt Ghaseet Kar Lejana Makrooh Hai, 

✧≫【03】 Aasaani Se Giray Bejaa Shakhti Karna Makrooh Hai, 

✧≫【04】 Qibla Rukh Bayi Karwat Letaye Ke Jaan Aasaani Se Nikle Iske Khilaaf Karna Makrooh Hai, 

✧≫【05】 Chaar Pairon Me Se Teen Bandhe, 

✧≫【06】 Churi Teez Rakhe Khundi Churi Se Zibaah Karna Makrooh Hai

✧≫【07】 Churi Ko Teez Karna Ho To Janwar Se Chupa Kar Teez Kare Janwar Ke Samne Churi Tez Karna Makrooh Hai, 

✧≫【08】 Janwar Ko Letane Se Pehle Churi Tez Karle Baad Me Churi Tez Karna Makrooh Hai Hadees Shareef Me Hai Ke Ek Shakhs Ek Janwar Ko Pichad Kar Churi Teez Karne Laga Ye Dekh Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam Ne Farmaya Tum Bakre Ko Ek Se Zyad Maut Dena Chahte Ho, 

✧≫【09】 Ek Janwar Ke Samne Dusra Janwar Zibah Karna Makrooh Hai, 

✧≫【10】 Letane Ke Baad Fauran Zibah Kare Befayda Der Karna Makrooh Hai

✧≫【11】 Shakhti Se Zibaah Na Kare Ke Sar Alag Ho Jaye Haram Maghz Ghardan Ke Andar Ki Safed Rag Tak Churi Utar Jaye Ke Ye Makrooh Hai, 

✧≫【12】 Ghardan Ke Upar Se Zibaah Karna Makrooh Hai Mana Hai Kiyu  Ke Isme Janwar Ko Zayad Az Zaroorat Iza Rasani  Hai {Taqleef Jyada Hoti Hai}, 

✧≫【13】 Zibah Ke Baad Janwar Thandaa Hone Se Pehle Ghardan Alag Na Kare Or Na Chamda Utare Ke Ye Makrooh Hai, 

Elaaan→ Upar Jo Ahkaam Likhe Gaye Hain Qurbani Ke Janwar Ke Sath Makhsoos {Khaas} Nahi Balke Har Zibah Hone Wale Janwar Ke  Liye Hain

📚 Hidaya,Durre Mukhtar,Shami,Risala Qurbani

📮NEXT SOON INSHA ALLAH


​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨

Comments

Popular posts from this blog

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-25

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟 اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI     ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-25 ★           ╂── ─────────╂ ✧⇝❥Qurbani Kis Par Waajib Hai...? 👉Qurbani Har Us Musalman Aaqil, Baaligh,Muqim Par.....Waajib Hai......Jiski Milkiyat Me 7.5 Tola Sona, Ya 52.5 Tola Chandi, Ya 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Rupiya, Ya Tijaarat Ka Saman, Ya Uski Asli Haajato Se Zyadah Ka Maal-Saaman Ho.  Note: Har Wo Zarurat Jiske Pura Na Hone Se Izzat-Aabru Ya Jaan Jane Ka Andesha Ho To Ye Asli Zarurat Hai . ❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ✧⇝❥Agar Kisi Ke Paas Do Makan Ho Ek Me Khud Rehta Hai Dusra Chaahe Kiraaye Par De Ya Na De Kya Us Par Qurbani Waajib Hai....

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-24

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI      ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-24 ★           ╂───────────╂ ✧⇝❥Islami Zabihaa Ki Kya Aur Kitni Sharaait Hai.....? ★➻Islami Zabihaa Ki Kul 3 Sharaait Hai..  ① Zabah Karne Waale Ka Musalman Hona,  ② Zabah Ke Waqt Allah Ka Naam Lena,  ③ Hulqoom, Saan'S Ki Naali Khun Ki Ragon Ka Sharee Dha'Ng Se Kat Lena.  ❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁   ✧⇝❥Ba-Waqt-E-Zabah Janwar Kis Karwat Par Hona Chaahiye Hai.....? ★➻Ba-Waqt-E-Zabah Janwar Ko Baai (Left) Pahlu Par Litaana Chaahiye, Kyun Ke Is Surat Me Zabah Me Sahulat Hai Aur Jab Left Pahlu Par Litaaya Jaayega To Sar Junub Ki Taraf Hog...