Skip to main content

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-24

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨

╂─────────────────╂

    🌟اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.
       🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ.
╂─────────────────╂
                 
📿 SAWALAAT-E-QURBANI    
 ╂────────────────╂
 ┗────────┯
            ★ POST NO-24 ★
          ╂───────────╂

✧⇝❥Islami Zabihaa Ki Kya Aur Kitni Sharaait Hai.....?

★➻Islami Zabihaa Ki Kul 3 Sharaait Hai..

 ① Zabah Karne Waale Ka Musalman Hona, 

② Zabah Ke Waqt Allah Ka Naam Lena, 

③ Hulqoom, Saan'S Ki Naali Khun Ki Ragon Ka Sharee Dha'Ng Se Kat Lena. 
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁
 
✧⇝❥Ba-Waqt-E-Zabah Janwar Kis Karwat Par Hona Chaahiye Hai.....?

★➻Ba-Waqt-E-Zabah Janwar Ko Baai (Left) Pahlu Par Litaana Chaahiye, Kyun Ke Is Surat Me Zabah Me Sahulat Hai Aur Jab Left Pahlu Par Litaaya Jaayega To Sar Junub Ki Taraf Hoga, Zabah Me Janwar Ke Gale Ko Itna Kaate Ke 4 Rage Kat Jaaye, Narkhara, Danaa-Paani Ki Rag, Narkhara Ke Daaye Aur Baaye Ki Do Ragen, Agar In Me Se Koi Teen Bhi Kat Jaayegi To Bhi Durust Hai, 
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁

✧⇝❥Ba-Waqt-E-Zabah Kin Kin Logo Ko Bismillah Parhna Zaruri Hai..?

★➻Zabah Karne Waale Aur Zabah Karne Waale Ke Haath Par Haath Rakh Kar Madad Karne Waale Par Bis'
Millah Parhna Zaruri Hai, Janwar Ke Haath, Pair, Sar, Singh Pakadne Waale Par Zaruri Nahi Hai.
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁

✧⇝❥Kya Qurbani Ki Khaal Ya Uski Qeemat Imam Ya Muazzin Ya Mudarris Ko Tankhwah {Salary} Me De Sakte Hai.....?

★➻Mudarris, Imam Ya Muazzin Ko Tankhwah Ke Taur Par Qurbani Ki Khaal Ya Uski Qeemat Dena Sahi Nahi Hai.

📓FazaiL-MasaaiL-e-Qurbani

   ╭─────────────────╮
   │ 
   ╰─────────────────╯
📮NEXT SOON INSHA ALLAH
​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨

Comments

Popular posts from this blog

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-25

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟 اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI     ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-25 ★           ╂── ─────────╂ ✧⇝❥Qurbani Kis Par Waajib Hai...? 👉Qurbani Har Us Musalman Aaqil, Baaligh,Muqim Par.....Waajib Hai......Jiski Milkiyat Me 7.5 Tola Sona, Ya 52.5 Tola Chandi, Ya 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Rupiya, Ya Tijaarat Ka Saman, Ya Uski Asli Haajato Se Zyadah Ka Maal-Saaman Ho.  Note: Har Wo Zarurat Jiske Pura Na Hone Se Izzat-Aabru Ya Jaan Jane Ka Andesha Ho To Ye Asli Zarurat Hai . ❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ✧⇝❥Agar Kisi Ke Paas Do Makan Ho Ek Me Khud Rehta Hai Dusra Chaahe Kiraaye Par De Ya Na De Kya Us Par Qurbani Waajib Hai....

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-23

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟 اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI      ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-23  ★           ╂───────────╂  ✧⇝❥Qurbani Me Karne Wale Makrooh Amal Kya Hai?? ★➻Qurbani Ke Kuch Aadaab Hai...Jisko Tarteeb Se Bataya Jaa Raha Hai... ✧≫【01】  Janwar Ko Zibaah Karne Se Pehle Chara Khilaye Paani Pilaye Bhooka Piyaasa Rakhna Makrooh Hai,  ✧≫【02】 Mazbaah Jahan Janwar Ko Zibaah Karne Lejate Us Waqt Ghaseet Kar Lejana Makrooh Hai,  ✧≫【03】 Aasaani Se Giray Bejaa Shakhti Karna Makrooh Hai,  ✧≫【04】 Qibla Rukh Bayi Karwat Letaye Ke Jaan Aasaani Se Nikle Iske Khilaaf Karna Makrooh Hai,  ✧≫【05】 Chaar Pai...

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-28

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟 اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ . ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI       ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-28 ★           ╂───────────╂ ✧⇝❥ Ek Shaher Ka Aadmi Apna Janwar Qurbani Ke Liye Gaon Me Bhejde To Wahan Kab Qurbani Kar Sakte Hai....?? ★➻Agar Shehri {Admi} Ne Dihat Me Qurbani Ka Intizam Kiya Ho To Wahan 10 Zilhaj Ko Subah Sadiq Hote Hee Qurbani Durust Ho Jayegi,  Shaher Ki Eid Ki Namaz Ka Intizar Nahi Kiya Jayega,  ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ✧⇝❥Ek Aadmi Dusri Jagah Qurbani Karaye Wahan Sasta Hone Ki Wajah Se To Ye Kaisa Hai??? ★➻Sasti Qimat Ki Wajah Se Dusri Jagah Qurbani Karane Me Shar,An Haraj Nahi Hai (Qurbani Ho Jayegi) Lekin Ye Baat Yaad R...