Skip to main content

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-21

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨

╂─────────────────╂
    🌟اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.
       🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ.
╂─────────────────╂
                 
📿 SAWALAAT-E-QURBANI    
 ╂────────────────╂
 ┗────────┯
            ★ POST NO-21 ★
          ╂───────────╂

✧⇝❥Kya Janwaron Ki Qurbani Karna Ye Un Par Zulm Hai ? Gair Muslims Bhaiyon (Non Muslims) Ka Kehna Hai Ke Islam Ka Yeh Tareeqah Raham Ke Khilaf Hai Yeh Sahih Hai ?

★➻1. Allah Janwaron Ka Maalik Hai, Maalik Ko Apni Property  Me Jo Chahe Woh Karne Ka Ikhtiyar Hota Hai, Kisi Dusre Ke Fate Huve Kapde Ko Faadna Bhi Zulm Hai Lekin  Maalik Apne Behtareen Kapde Ko Apne Kaam Ke Liye Faad De Use Koi Zulm Nahin Kehta. Musalmano Ko Janwaron Ke Paida Karnewale Aur Maalik Allah Ne Qurbani Karne Ka Hukm Quran Me Surah E Kawsar Me "وانحر " Qurbani Karo Keh Kar Diya Hai Is Liye Qurbani Karte Hain.

★➻2. Qurbani Har Mazhab Me Balidaan, Bhog, Balee, Bhet Chadhana Wagerah Naam Se Maujud Hai.

★➻3. Murghi, Machhli, Zinge Wagerah Jaandar Ko Dusre Mazhab Wale Bhi Maarte Aur Khate Hai, To Fir Atraaz Musalmano Par Hee Kyun ?

Maachhiyon Se Kyun Darte Ho?

★➻4. Sabziyan (Vegetables), Phalon(Fruits), Phoolon(Flowers), Me Bhi Jaan Hai, Unko Bhi Hawa, Paani Aur Roshni Ki Zarurat Hai, Science Kehta Hai Woh Bhi Jaandar Hai, Jeev Dayaa Karne Jaoge To Ise Khana Bhi Chhorna Padega. Chhote Jeev Me Bardashat Ki Taqat Chhoti Hoti Hai, Bade Jeev Me Bardashat Ki Taqat Badi Hoti Hai, Isliye Taklif Pahonchne Me Chhota Jeev Aur Bada Jeev Ek Jaise Hai Farq Karna Galat Hai, 

★➻5. Islam Mazhab Duniya Ke Har Kone Ke Liye Hai, Jahaan Sirf Baraf Hee Baraf Aur Registaan (Desert) Hee Registaan Ho Jahaan Sabjiyan Nahin Hoti, Wahaan Ke Logon Ko Janwar Zabah Karne Se Manaa Kiya Jaye To Log Kya Khayenge?, 

★➻6. Gosht (Non-Veg) Khana Fitaree(Naturally) Cheez Hai, Is Liye Allah Ne Insaan Ko Faad Khane Wale Janwar Ki Tarah Uppar Ke 2 Naukile Daant (Teeth)Aur Chabane Ke Liye Gol Dharhen Dee Hain. Sabzi Khanewale Janwar Ko Na Naukile Dant Diye, Na Gol Dharhen Dee, Balke Sab Daant Sidhe Aur Chapti Dharhen Dee. Lihaza Yeh Naukile (Pointed)  Daant Aur Gol Darhen Sabzi Khane Nahin Dee Hai, Balke Gosht Khane Dee Hai.

★➻7. Janwar Ko Zabah Na Karte To Bhi Woh Ek Na Ek Din Bimari Me Mubtala Ho Kar Tadap Tadap Ke Zarur Marta Woh Hamesha Nahin Jita Hai. Zabah Karne Se Use Aasaan Maut Milti Hai. Isiliye Apni Samajh Me Aasan Maut Hee Ke Liye Baaz Insan Khudkushi- Yaani Aatmhatya Karte Hain. Taake Bimari Ki Takleef Uthani Na Pade.

★➻8. Jo Janwar Baanjh Hai Bachche Nahi Dete, Doodh (Milk) Nahi Dete Aur Budhe-Kamzor Ho Gaye Hain Unko Ghas Charah Khilane Me Ghas Charah Kam Hota Hai, Paise Bhi Barbaad Hote Hain. Aur Behtar Janwaron Ke Chare Ka Haq Kam Ho Jata Hai. Ya To Baahar Charne Ke Liye Chhorne Me Plastic Ki Theliyan Khakar Marti Hain, 
Aqal Yeh Kehti Hai Ke Aise Janwaron Ko Zabah Kar Dena Chahiye Taake Ghas Charah Achchhe Janwaron Ko Mile Aur Us Se Un Janwaron Ki Sihhat Wa Tandurasti Me Izafah Ho Aur Doodh Me Badhotari(Ziyadati) Ho. Aisa Karna Un Achchhe Janwar Par Raham Hai.

★➻9. Zulm Ka Matlab Sirf Taqleed Pahonchana Ho To Har Qaum Ko Khatmal, Machchhar, Chooha Wagaira Taqleef Pahonchane Wale Janwar Ko Sirf Bhagane Ki Ya Pakad Ke Kahi Chhor Aane Ki Dawa Ya Machine Istemal Karni Chahiye, Iske Bajaye Jaan Se Maar Dalte Hai, Is Ki Ma'Amuli Taqleef Jis Se Insan Ki Jaan  Ka Khatra Nahi Apni Raahat Ke Liye Maar Dalte Hain Pataa Yeh Chala Ke Insan Sab Se Behtar Makhluq(Jeev) Hai Apne Fayde Ke Liye Adna-(Ma'Amuli) Makhluq(Jeev) Ko Maar Sakta Hai, 

★➻10. Janwar Ka Doodh Har Qaum Peeti Hai Baawajood Iske Ke Woh Us Janwar Ke Bachche Ka Haq Hai, Jab Yeh Zulm Nahin To Gosht Khana Kaise Zulm Hoga?? 

★➻11.Janwar Ko Apni Mehnat Ki Kamai Se Lakar Us Ki Khidmat Kar Ke Fitri Raham Ki Wajah Se Dil Na Chahte Huve Use Zabah Karte Hain Isme Musalman Apne Jazbat ''Maal Se Muhabbat,  Janwar Se Muhabbat, Fitaree Raham Yeh Sab Rooh Aur Aatma Ki Khwahish Ki Allah Ke Hukm Ke Samne Qurbani Deta Hai Andar Ke Jazbaat (Feelings)  Ki Qurbani Janwar Ko Zabah Kar Ke Zahir Karta Hai, 

★➻ NEXT POST SOON IN SHAA ALLAH
〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️

Comments

Popular posts from this blog

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-23

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟 اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI      ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-23  ★           ╂───────────╂  ✧⇝❥Qurbani Me Karne Wale Makrooh Amal Kya Hai?? ★➻Qurbani Ke Kuch Aadaab Hai...Jisko Tarteeb Se Bataya Jaa Raha Hai... ✧≫【01】  Janwar Ko Zibaah Karne Se Pehle Chara Khilaye Paani Pilaye Bhooka Piyaasa Rakhna Makrooh Hai,  ✧≫【02】 Mazbaah Jahan Janwar Ko Zibaah Karne Lejate Us Waqt Ghaseet Kar Lejana Makrooh Hai,  ✧≫【03】 Aasaani Se Giray Bejaa Shakhti Karna Makrooh Hai,  ✧≫【04】 Qibla Rukh Bayi Karwat Letaye Ke Jaan Aasaani Se Nikle Iske Khilaaf Karna Makrooh Hai,  ✧≫【05】 Chaar Pai...

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-25

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟 اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI     ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-25 ★           ╂── ─────────╂ ✧⇝❥Qurbani Kis Par Waajib Hai...? 👉Qurbani Har Us Musalman Aaqil, Baaligh,Muqim Par.....Waajib Hai......Jiski Milkiyat Me 7.5 Tola Sona, Ya 52.5 Tola Chandi, Ya 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Rupiya, Ya Tijaarat Ka Saman, Ya Uski Asli Haajato Se Zyadah Ka Maal-Saaman Ho.  Note: Har Wo Zarurat Jiske Pura Na Hone Se Izzat-Aabru Ya Jaan Jane Ka Andesha Ho To Ye Asli Zarurat Hai . ❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ✧⇝❥Agar Kisi Ke Paas Do Makan Ho Ek Me Khud Rehta Hai Dusra Chaahe Kiraaye Par De Ya Na De Kya Us Par Qurbani Waajib Hai....

SAWALAAT-E-QURBANI | POST NO-24

​​​​✨🏵​​​✨🏵​​​✨🏵✨🏵​​​✨ ╂─────────────────╂     🌟اَعُوْذُ  بِااللّٰهِ  مِنَ  الشَّیْطٰنِ  الرَّجِیْم.        🌹ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ. ╂─────────────────╂                   📿 SAWALAAT-E-QURBANI      ╂────────────────╂  ┗────────┯             ★ POST NO-24 ★           ╂───────────╂ ✧⇝❥Islami Zabihaa Ki Kya Aur Kitni Sharaait Hai.....? ★➻Islami Zabihaa Ki Kul 3 Sharaait Hai..  ① Zabah Karne Waale Ka Musalman Hona,  ② Zabah Ke Waqt Allah Ka Naam Lena,  ③ Hulqoom, Saan'S Ki Naali Khun Ki Ragon Ka Sharee Dha'Ng Se Kat Lena.  ❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁   ✧⇝❥Ba-Waqt-E-Zabah Janwar Kis Karwat Par Hona Chaahiye Hai.....? ★➻Ba-Waqt-E-Zabah Janwar Ko Baai (Left) Pahlu Par Litaana Chaahiye, Kyun Ke Is Surat Me Zabah Me Sahulat Hai Aur Jab Left Pahlu Par Litaaya Jaayega To Sar Junub Ki Taraf Hog...